Ashkon ke samandar pe teri tasveer ubharti rehti hai,
har tapakte aansu se banti aur bikharti rehti hai,
aankhein karti hain khali, gham-e-dil ko mere,
aur teri yaad aakhar "Ishk" use fir bharti rehti hai.
(19-10-2011)
har tapakte aansu se banti aur bikharti rehti hai,
aankhein karti hain khali, gham-e-dil ko mere,
aur teri yaad aakhar "Ishk" use fir bharti rehti hai.
(19-10-2011)
jaane kis chehre ki baat aap karte hain,
ReplyDeletehum to aaj bhi harwaqt bus aapka deedar karte hain!
na dhundhali hoti hai na mitati hai tasveer-e-ishk ki,
hum to aaj bhi usi ishk pe jaan nisaar karte hain!!
tum na pehchaano hamain koyi malaal nahi,
ReplyDeletehum to jaante hain ke tum jaan ho hamaari!
saansen hain jab tak tab tak hai ye jism,
baad uske bhi rahoge tum jaan-e-jaan "jaan" hamari!