Ik wo bhi din the jab hum,
aankho se hi sab kaam kiya karte the,
aankhon hi aankhon me raat kaat te the unke intezar me,
aankhon hi aankhon me subah se shaam kiya karte the,
jab bhi kahin bhi mil jate wo,
aankhon hi aankhon se salaam kiya karte the,
aankhon se hi pooch lete the mijaz unka,
aankhon hi aankhon se haal apna byan kiya karte the,
na izhar-e-mohabbat kiya unho ne mooh se kabhi,
hum aankhon hi aankhon se pehchaan liya karte the,
wo mai se bhari unki nashili aankhon se,
hum aankhon hi aankhon me jaam piya karte the,
doob jate the ladkhada ke hum milte hi aankhein,
wo aankhon hi aankhon se humein thaam liya karte the,
wo sharmate the baar baar chura kar humse aankhein,
hum laga kar tiktiki aankhon hi aankhon se preshan kiya karte the,
unki aankhon se hi samajh lete the jawab hum unka,
jo aankhon hi aankhon se hum paighaam diya karte the,
poochte the jab humse sab, kaun hai wo dilruba,
hum aankhon hi aankhon se unka naam liya karte the,
na khabar tak hoti thi zamane ko mohabbat ki,
jo aankhon hi aankhon se hum sar-e-aam kiya karte the,
wohi aankhein aaj hamari "Ishk" ho gyi hain sooni,
kabhi in aankhon hi aankhon me wo qayaam(Live) kiya karte the.
(28-01-2011)

This comment has been removed by the author.
ReplyDelete